dekh kar KHush-rang us gul-pairahan ke hath panw

dekh kar khush-rang us gul-pairahan ke hath panw
phul jate hain jawanan-e-chaman ke hath panw

jab na dekhe chaar din us gul-badan ke hath panw
sukh kar kanta hue ahl-e-chaman ke hath panw

hum wo mai-kash hain jo hota hai hamein ranj-e-khumar
tutte hain saqi-e-paiman-shikan ke hath panw

un ke maqtulon ki qabren is qadar khodi gain
thak ke takhta ho gae har gorkan ke hath panw

aati jati chot bhi sach hi nazar aati nahin
aaj-kal chalte hain kya us tegh-zan ke hath panw

khaksari ka maza hota jo ai khusraw tujhe
aab-e-shirin se dhulata kohkan ke hath panw

hathkadi bedi badi zoron se pahnai mujhe
ai junun shal ho gae ahl-e-watan ke hath panw

kat dala dast-e-shakh-e-gul ko pa-e-sarw ko
baghban ne dekh kar us gul-badan ke hath panw

tausan-e-mushkin se jab us turk ki tashbih di
jod mein thahre na aahu-e-khutan ke hath panw

apne gesu-e-rasa se yar rassi ki tarah
bandhta hai aashiq-e-chah-e-zaqan ke hath panw

naujawanan-e-chaman us gul se tharraate hain yun
jis tarah kanpen kisi pir-e-kuhan ke hath panw

shab ko garm-e-raqs hota hai jo wo aatish-mizaj
shama san jalte hain sare anjuman ke hath panw

hathkadi bedi jo mujh majnun ki utri baad-e-marg
qabr mein tukde udaenge kafan ke hath panw

ho gai kham thonk kar dew-e-khizan ke samne
kya kasile hain jawanan-e-chaman ke hath panw

shahid-e-maqsad tumhein be-wasta mil jaega
ai 'saba' chumo na shaikh-o-barahman ke hath panw


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close