wo jo ek ilzam tha us par kahin aa na jae ab hamare sar kahin jis ki khatir qafila roka gaya wo musafir chal diya uth kar kahin jab wo do panchhi mile the khet mein phir nazar aa jae wo manzar kahin khwahishon ke ghaar ka munh band hai tum hata dena na wo patthar kahin aasman se aane wale sat rang the kisi ke, aa ke utre, par kahin dil ki ek ummid dil mein rah gai ek diya sa bujh gaya jal kar kahin lapata hai ek samundar aaj tak jhank baitha tha mere andar kahin das na le mujh ko kahin khushbu teri kha na jae mujh ko ye bistar kahin aa gaya wo jism ke malbe tale main gira dahliz se bahar kahin dhup ke lambe safar ke baad hum sans lenge sae mein ruk kar kahin