dekh koh-e-na-rasa ban kar bharam rakkha tera main ki tha ek zarra-e-be-tab ai sahra tera kaun saqi kaisa paimana kahan sahba-e-tez aabru yun rah gai hai sar mein tha sauda tera sab gireban si rahe hain sehn-e-gul mein baith kar kaun ab sahra ko jae, hai kahan charcha tera ab anasir mein tawazun dhundne jaen kahan hum jise hamraaz samjhe pasban nikla tera band darwaze kiye baithe hain ab ahl-e-junun takhtiyan namon ki padh kar kya kare ruswa tera dad to ahl-e-murawwat de gae rahat tujhe sher bhi un ko nazar aaya koi achchha tera