dekh tu kis qadar bhala dukh hai

dekh tu kis qadar bhala dukh hai
sham hote hi aa gaya dukh hai

dil ki diwar par tangi aankhen
dil ki dahliz par jama dukh hai

thak ke baithi hun ek kone mein
aur kamre mein ghumta dukh hai

mujh se puchho na khairiyat ka sabab
mere har dard ki dawa dukh hai

zindagi to haqiqi manon mein
khak se khak par likha dukh hai

ya mere dushmanon ka dukh hai mujhe
ya meri aastin ka dukh hai

hath kanon pe rakh liye main ne
kis qadar chup mein chikhta dukh hai

mere hansne pe phir 'muqaddas' ji
aa ki mujh par baras pada dukh hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close