dekha jo kuchh jahan mein koi dam ye sab nahin

dekha jo kuchh jahan mein koi dam ye sab nahin
tuk aankh mundte hi tum aur hum ye sab nahin

thodi si zist hai jo khushi se nibhe to khair
warna nishat-o-khurrami-o-gham ye sab nahin

bagh-o-bahaar-o-josh gul-o-khanda-e-subuh
saut-e-hazar-o-girya-e-shabnam ye sab nahin

duniya-o-din dida-e-dil sabr aur qarar
tu hi agar nahin to ek aalam ye sab nahin

kis kaam ke hain be-asari se agarche hain
aah-o-fughan-o-dida-e-pur-nam ye sab nahin

be-ishq jitni khalq hai insan ki shakl mein
nazron mein ahl-e-did ke aadam ye sab nahin

zakhm-e-nihan-e-hijr ko be-wasl ai 'muhib'
ho sud-mand bakhiya-o-marham ye sab nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close