dekhe koi talluq-e-KHatir ke rang bhi

dekhe koi talluq-e-khatir ke rang bhi
us fitna-khu se pyar bhi hai aur jang bhi

dil hi nahin hai us ke tasawwur mein shad-kaam
ek sarkhushi mein jhumta hai ang ang bhi

kuchh rabt-e-khas asl ka zahir ke sath hai
khushbu ude to udta hai phulon ka rang bhi

aisa nahin ki aath pahar be-dili rahe
bajte hain gham-kade mein kabhi jal-tarang bhi

dekha hai aaj us ne mujhe mud ke 'aftab'
is waqiye pe khush bhi hun main aur dang bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close