ye aankhen rah takti hain tumhein ye man bulata hai

ye aankhen rah takti hain tumhein ye man bulata hai
chale aao tumhein suna mera aangan bulata hai

barasti roz hain aankhen ye barish hi nahin rukti
tumhein bhige hue ashkon ka ye daman bulata hai

jahan pengen badhate the shajar wo yaad karte hain
wo jhule puchhte hain ab tumhein sawan bulata hai

gulistan jab se ujda hai bahaaren bhi nahin lautin
faza aawaz deti hai tumhein upwan bulata hai

dar-o-diwar aur rahen sabhi sadme mein rahte hain
sanwarte the jahan pahle wahi darpan bulata hai

chale aao ki ab tanhaiyan jine nahin detin
tumhein ujde hue dil ka ye suna-pan bulata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close