dekhe to tamaddun ka banna koi urdu mein

dekhe to tamaddun ka banna koi urdu mein
begana mizajon ki hai dosti urdu mein

alfaz nae dhaale kya kya nai urdu mein
raij mutabaadil hain jin ke kai urdu mein

hai qaid ilaqe ki mazhab ki na millat ki
milte hain dil-o-jaan ke rishte kai urdu mein

zholida-bayan wo hain pechida zaban un ki
ek shart safai ki bas rah gai urdu mein

hai tarjume ke bal par ye dam-zaban-dani
ek kawish-e-be-danish phir phans gai urdu mein

ab shayad isi surat kuchh baat bane un ki
sochi thi jo english mein tahrir ki urdu mein

ye un ki nigarish hai ya dusron ki utran
ye sari badi baaten hain kaun si urdu mein

dekhi jo meri uchkan wo shokh pukar uttha
jachne lage sarkar ab apni nai urdu mein

kya khub hi jachti hai in mashriqi kapdon mein
angrezi mein ye kya thi kya ho gai urdu mein

shikwa na shikayat hai pechida bayani ki
kyun talkh ye lahja hai kahiye bhai urdu mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close