jaan-e-fikr-o-fan ab bhi ishq ki kahani hai lafz hain nae lekin dastan purani hai zindagi ke afsane ek se sahi lekin jo meri kahani hai wo meri kahani hai dekhta hai rah rah kar munh nigah walon ka misra-e-gharib apna naqsha-e-be-zabani hai iltifat farmaen ya taghaful apnaen muddaa hasinon ka sirf jaan-sitani hai pur-khata sahi 'jafar' be-wafa sahi 'jafar' khair tum sahi haq par baat kya badhani hai