dekhiye ahl-e-mohabbat hamein kya dete hain

dekhiye ahl-e-mohabbat hamein kya dete hain
kucha-e-yar mein hum kab se sada dete hain

roz khushbu teri late hain saba ke jhonke
ahl-e-gulshan meri wahshat ko hawa dete hain

manzil-e-shama tak aasan rasai ho jae
is liye khak patangon ki uda dete hain

su-e-sahra bhi zara ahl-e-khirad ho aao
kuchh bahaaron ka pata aabla-pa dete hain

mujh ko ahbab ke altaf-o-karam ne mara
log ab zahr ke badle bhi dawa dete hain

sath chalta hai koi aur bhi su-e-manzil
mujh ko dhoka mere naqsh-e-kaf-e-pa dete hain

zindagi marg-e-musalsal hai magar ai 'tabish'
hae wo log jo jine ki dua dete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close