dhuMein machaen sabza raunden phulon ko pamal karen

dhumen machaen sabza raunden phulon ko pamal karen
josh-e-junun ka ye aalam hai ab kya apna haal karen

dasht-e-jaan mein ek khushi ki lahr kahan tak daudegi
wasl ke ek ek lamhe ko hum kyun kar mah o sal karen

jaan se badh kar dil hai pyara dil se ziyaada jaan aziz
dard-e-mohabbat ka ek tohfa kis kis ko irsal karen

nang-e-karam hai soz-e-alam se ahl-e-dil ki mahrumi
dard-e-ishq mata-e-jaan hai sahib kuchh to khayal karen

mausam badle phir bhi hai aashob-e-visal-o-hijr wahi
haal zamane ka jab ye ho kya mazi kya haal karen

ruh ki ek ek chot ubhaaren dil ka ek ek zakhm dikhaen
hum se ho to numayan kya kya apne khadd-o-khal karen

qarz bhala kya dega koi bhik bhi milni mushkil hai
nadaron ki is basti mein kis se ja ke sawal karen

har ek dard ko apna jaanen har ek gham ko apnaen
khwah kisi ki daulat-e-gham ho dil ko malamal karen

be-hunari ko hunar kare ye ahl-e-hunar ka dushman hai
charkh-e-kaj-raftar hai aakhir 'tabish' hum bhi khayal karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close