dekhiye KHak mein majnun ki asar hai ki nahin

dekhiye khak mein majnun ki asar hai ki nahin
dasht mein naqa-e-laila ka guzar hai ki nahin

wa agar chashm na ho us ko na kahna pi ashk
ye khuda jaane sadaf bich guhar hai ki nahin

ek ne mujh ko tere dar ke upar dekh kaha
ghair is dar ke tujhe aur bhi dar hai ki nahin

aakhir is manzil-e-hasti se safar karna hai
ai musafir tujhe chalne ki khabar hai ki nahin

tosha-e-rah sabhi ham-safaran rakhte hain
tere daman mein 'fughan' lakht-e-jigar hai ki nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close