dekhne se tere ji pata hun

dekhne se tere ji pata hun
aankh ke pherte mar jata hun

tere honton ke tain pan se lal
dekh kar khun-e-jigar khata hun

aarzu mein teri yak muddat se
apne dil ke tain tarsata hun

chaw jo dil mein bhare hain pyare
tujh se kahta hua sharmata hun

bhule-bisre jo kabhi wahshi sa
tere kuche ki taraf aata hun

dekh darwaze ki surat tere
naqsh-e-diwar sa ho jata hun

tu jo nikle hai badalta aankhen
us ghadi apna kiya pata hun

dil-e-gham-ghin ke tain murda sa
god mein apne utha lata hun

aansu puchhun hun dilasa de de
mannaten kar ke main samjhata hun

wo nahin manta jun jun 'hatim'
tun tun jine se main ghabraata hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close