haalat ke qadmon pe qalandar nahin girta

haalat ke qadmon pe qalandar nahin girta
tute bhi jo tara to zamin par nahin girta

girte hain samundar mein bade shauq se dariya
lekin kisi dariya mein samundar nahin girta

samjho wahan phaldar shajar koi nahin hai
wo sahn ki jis mein koi patthar nahin girta

itna to hua faeda barish ki kami ka
is shahr mein ab koi phisal kar nahin girta

inam ke lalach mein likhe madh kisi ki
itna to kabhi koi sukhan-war nahin girta

hairan hai kai roz se thahra hua pani
talab mein ab kyun koi kankar nahin girta

us banda-e-khuddar pe nabiyon ka hai saya
jo bhuk mein bhi luqma-e-tar par nahin girta

karna hai jo sar marka-e-zist to sun le
be-bazu-e-haidar dar-e-khaibar nahin girta

qaem hai 'qatil' ab ye mere sar ke sutun par
bhaunchaal bhi aae to mera ghar nahin girta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close