dekho us ne qadam qadam par sath diya begane ka 'akhtar' jis ne ahd kiya tha tum se sath nibhane ka aaj hamare qadmon mein hai kahkashan shahr-e-mahtab kal tak log kaha karte the khwab use diwane ka tere lab-o-rukhsar ke qisse tere qad-o-gesu ki baat saman hum bhi rakhte hain tanhai mein dil bahlane ka tum bhi sunte to ro dete hum bhi kahte to rote jaan ke hum ne chhod diya hai ek hissa afsane ka kuchh to hai jo apnaya hai hum ne ku-e-malamat ko waise aur tariqa bhi tha 'akhtar' dil bahlane ka