dekhte hi dekhte khone se pahle dekhte

dekhte hi dekhte khone se pahle dekhte
raushni ko raushni hone se pahle dekhte

is tarah zaea hui hotin na aankhen nind mein
hum ye sare khwab agar sone se pahle dekhte

shahr ka aaina-khana hai sar-e-sailab-e-aks
apna chehra bhid mein khone se pahle dekhte

baad ka sara safar qabu mein rahta aap ke
khak ko gar be-karan hone se pahle dekhte

ab to jo kuchh hai sahafat hi sahafat hai yahan
jo bhi hona tha use hone se pahle dekhte

bij kis surat mein bahar aaega kis ko khabar
fasl kya hogi use bone se pahle dekhte

dekhte baadal se barish tak safar taklif ka
tum meri aankhen agar rone se pahle dekhte

dekhne mein der kar di aap ne 'ehsas' ko
ho chuka bas wo use hone se pahle dekhte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close