jagte hi nazar aKHbar mein kho jati hai

jagte hi nazar akhbar mein kho jati hai
zindagi dard ke ambar mein kho jati hai

na-khuda aql ke patwar uthata hai ki jab
kashti-e-dil meri manjdhaar mein kho jati hai

be-sabab sochne wale kabhi socha tu ne
aagahi kasrat-e-afkar mein kho jati hai

udte rahte hain khayalat ke jugnu phir bhi
baat kyun parda-e-izhaar mein kho jati hai

us ke kaamon ka hai rangin khushamad pe madar
aur mehnat meri isar mein kho jati hai

hurmat-e-parda zaruri hai 'ata-ji' warna
chiz jaisi bhi ho bazar mein kho jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close