dhalte hue suraj ki ziya dekh rahe hain sadiyon se bhi anjam-e-wafa dekh rahe hain badli hui gulshan ki hawa dekh rahe hain phulon mein bhi kanton ki ada dekh rahe hain rahon mein bhatak jate hain kis tarah musafir manzil pe khade rah-numa dekh rahe hain tarikh ke chehre se nae daur ke hathon mitti hui tahrir-e-wafa dekh rahe hain lagta hai ki basti mein koi baat hui hai har shakhs ko masruf-e-dua dekh rahe hain achchha hai baras jae agar dil ki zaban par hum dosh pe zulfon ki ghata dekh rahe hain galiyon mein madine ki abhi dekhne wale sarkar ke naqsh-e-kaf-e-pa dekh rahe hain ehsas ke tute hue aaine mein 'khusraw' jalti hui hum apni chita dekh rahe hain