daulat-e-duniya kahan darkar hai mujh ko tera aastan darkar hai aap ko bhi ek sahaara chahiye mujh ko bhi ek ham-zaban darkar hai zindagi ki is kadakti dhup mein saya-e-sard-e-rawan darkar hai barq-o-baran ka udae jo mazaq aaj wo azm-e-jawan darkar hai zindagi se hai ibarat ek jihad sher ki tab-o-tawan darkar hai tir-o-nashtar sher yun banta nahin ek dil-e-atishin-fashan darkar hai chahiye iqbaal ki fikr-e-rasa dagh ki tab-e-rawan darkar hai ho tahaarat 'haali'-o-'mahrum' ki 'mir'-o-'momin' ki zaban darkar hai sher se mahzuz hone ke liye lazzat-e-dard-e-nihan darkar hai ahl-e-mahfil ko tarannum chahiye shairi un ko kahan darkar hai murshid-e-kaamil ki mujh ko hai talash majlis-e-ruhaniyan darkar hai ruh ko jis se mile baalidgi mujh ko wo pir-e-mughan darkar hai man ka sara mail jis se dur ho wo sharab-e-arghawan darkar hai hum pe jo guzri wo kahne ke liye husn-o-uslub-e-bayan darkar hai zindagi ka raaz pane ke liye hum ko umr-e-jawedan darkar hai mujh ko apne doston se ai 'bahaar' ek khulus-e-be-karan darkar hai