dharti pe zindagi ke amiT etimad ko

dharti pe zindagi ke amit e'timad ko
ji khush hua hai dekh ke apne kimad ko

khud mit gaya mitata hua satwat-e-husain
tarikh mat de gai ibn-e-ziyaad ko

ta-umr marna jina rahe sajna ke sang
dil lobhta hai aise hi aashirwad ko

kohna kahaniyan sunen lekin bunen chunen
ashaar ke sawad mein taza mawad ko

saunpe hain main ne jangali chidiyon ke chahchahe
us madh-makhi ki yaad ko man ki murad ko

qarza utara a-c kharida mangaya dish
is sal ketiyon mein lagaya tha khad ko

nara ali ka wird kare sankh ki sada
chimton ke sath dhol bajen phunken nad ko

aakhir hamein bhi pad gaya hijrat se wasta
rakhta hai kaun shahr mein sahra-nazhad ko

ban-bas ki asas bhare ruh ke bhanwar
maula laga suhag meri soch-sadh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close