chhattis sal ka bhi sannyas chhin kar ye kaun le gaya mera ban-bas chhin kar ai shah-e-karbala meri imdad ko ab aa khush hai ghanim mujh se meri pyas chhin kar saya na ho to dhup jalati hai jism ko tum kya karoge dharti se aakas chhin kar jine ki jo umang thi wo bhi nahin rahi be-as kar gaya koi har aas chhin kar tum ne bujhai bajti hui bansiyon ki kuk mujh se mere wajud ke tat tas chhin kar kuchh to bata main tera gunahgar kab hua kyun aatma ko bhrasht kiya mas chhin kar matam-kunan hain sare asatiri waqiye tanha qalam ko kar diya qirtas chhin kar rawan ne phir juda kiya sita ko ram se phir kalpana bujhai gai qayas chhin kar sanjog jug janam ke hue qata alwidaa ban ko jalaya aag ne bu bas chhin kar