dhuan sifat hun khalaon ka hai safar mujh ko uda rahi hain hawaen idhar udhar mujh ko main us ki aankh se gir kar wajud kho baitha wo dhundhta hai bhala kyun dagar dagar mujh ko jawan hon hausle jis ke wo mere sath chale kadakti dhup mein sahra ka hai safar mujh ko badan ko chhod ke teri talash mein nikla na rok paenge raste mein bahr-o-bar mujh ko abhi kuchh aur teri justuju rulaegi abhi kuchh aur bhatakna hai dar-ba-dar mujh ko wo shokh shokh si panhaariyan kidhar ko gain udas kar gai panghat ki rahguzar mujh ko junun ke adna ishaare pe chaunk jata hun khirad ki baat ka hota nahin asar mujh ko main aasman ki bulandi ko raund aaya hun zamin walon ne samjha shikasta-par mujh ko usi ne yaad dilai hai aaj gautam ki rishi laga hai ye sukha hua shajar mujh ko mita rahe hain mujhe mere qari-o-naqid kisi ne samjha kahan harf-e-mo'tabar mujh ko main apne waqt ka mansur bhi nahin 'hasrat' ye log kis liye lae hain dar par mujh ko