dhund rakkhi hai meri wahshat ne aasani meri ghar ki haalat hi mein rakh di hai bayabani meri nam hi ko bas padega bojh teri jeb par dekhne ki hai sar-e-bazar arzani meri hosh hai bas is qadar nairangi-e-haalat mein do qadam rahti hai aage mujh se hairani meri husn-e-be-parwa ko khud se thoda ghafil dekh kar mujh ko kya kuchh is ka dikhlati hai uryani meri wo ajab ek shahr tha jis mein kate yun mah o sal din se main waqif nahin tha shab thi anjaani meri hai koi jo rakh raha hai roz o shab ka sab hisab hoti rahti hai kahin par sakht nigrani meri har tarah ke mausamon mein mera rakhta hai khayal hai koi jo karta rahta hai nigahbani meri aaj bhi kaj hai usi dhaj se phati si ek kulah tang karti hai abhi tak khu-e-sultani meri kis jagah hai wo bacha rakkha hai jis ke waste ek sajda jo liye phirti hai peshani meri khud bana leta hun main apni udasi ka sabab dhund hi leti hai 'shahin' mujh ko virani meri