dhyan dastak pe laga rahta hai

dhyan dastak pe laga rahta hai
aur darwaza khula rahta hai

kisi malbe se nahin pur hota
mere andar jo khala rahta hai

khinchta hai wo lakiren kya kya
aur phir un mein ghira rahta hai

hum ko khamosh na jaano sahab
andar ek shor bapa rahta hai

mujh ko de deta hai gahre pani
khud jaziron pe basa rahta hai

meri tanhai ki pagdandi par
mere ham-rah khuda rahta hai

khak bhi rahti nahin insan ki
nam patthar pe khuda rahta hai

rang-o-bu bharte hain is ka pani
mazbale par jo pada rahta hai

qumqume rahte hain raushan 'betab'
dil hi kam-bakht bujha rahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close