dida-e-hairan ne tamasha kiya der talak wo mujhe dekha kiya zabt-e-fughan go ki asar tha kiya hausla kya kya na kiya kya kiya aankh na lagne se shab ahbab ne aankh ke lag jaane ka charcha kiya mar gae us ke lab-e-jaan-bakhsh par hum ne ilaj aap hi apna kiya bujh gai ek aah mein sham-e-hayat mujh ko dam-e-sard ne thanda kiya ghair ayaadat se bura mante qatl kiya aan ke achchha kiya un se pari-wash ko na dekhe koi mujh ko meri sharm ne ruswa kiya zindagi-e-hijr bhi ek maut thi marg ne kya kar-e-masiha kiya pan mein ye rang kahan aap ne aap mere khun ka dawa kiya jaur ka shikwa na karun zulm hai raaz mera sabr ne ifsha kiya kuchh bhi ban aati nahin kya kijiye us ke bigadne ne kuchh aisa kiya jae thi teri mere dil mein so hai ghair se kyun shikwa-e-beja kiya rahm falak aur mere haal par tu ne karam ai sitam-ara kiya sach hi sahi aap ka paiman wale marg ne kab wada-e-farda kiya dawa-e-taklif se jallad ne roz-e-jaza qatl phir apna kiya marg ne hijran mein chhupaya hai munh lo munh usi parda-nashin ka kiya dushman-e-'momin' hi rahe but sada mujh se mere nam ne ye kya kiya