jalte rahna kaam hai dil ka bujh jaane se hasil kya

jalte rahna kaam hai dil ka bujh jaane se hasil kya
apni aag ke indhan hain hum indhan ka mustaqbil kya

bolo nuqush-e-pa kuchh bolo tum to shayad sunte ho
bhag rahi hai rahguzar ke kan mein kah kar manzil kya

dubne walo! dekh rahe ho tum to kashti ke takhte
dekho dekho ghaur se dekho daud raha hai sahil kya

an-padh aandhi ghus padti hai tod ke phatak mahlon ke
andar aana mana hai likh kar latkane se hasil kya

qatl-e-waqar-e-ishq ka mujrim jahl-e-hawas-karan hi nahin
nange is hammam mein sab hain aalim kya aur jahil kya

parwane ab apni apni aag mein jalte rahte hain
shoalon ke batware se tha maqsad-e-sham-e-mahfil kya

tuti dhanak ke tukde le kar baadal rote phirte hain
khincha-tani mein rangon ki suraj bhi hai shamil kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close