dil abhi tak jawan hai pyare

dil abhi tak jawan hai pyare
kis musibat mein jaan hai pyare

tu mere haal ka khayal na kar
is mein bhi ek shan hai pyare

talkh kar di hai zindagi jis ne
kitni mithi zaban hai pyare

waqt kam hai na chhed hijr ki baat
ye badi dastan hai pyare

jaane kya kah diya tha roz-e-azal
aaj tak imtihan hai pyare

hum hain bande magar tere bande
ye hamari bhi shan hai pyare

nam hai is ka naseh-e-mushfiq
ye mera mehrban hai pyare

kab kiya main ne ishq ka dawa
tera apna guman hai pyare

main tujhe bewafa nahin kahta
dushmanon ka bayan hai pyare

sari duniya ko hai ghalat-fahmi
mujh pe to mehrban hai pyare

tere kuche mein hai sukun warna
har zamin aasman hai pyare

khair fariyaad be-asar hi sahi
zindagi ka nishan hai pyare

sharm hai ehtiraaz hai kya hai
parda sa darmiyan hai pyare

arz-e-matlab samajh ke ho na khafa
ye to ek dastan hai pyare

jang chhid jae hum agar kah den
ye hamari zaban hai pyare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close