dil badalne se na aflak badal jaane se

dil badalne se na aflak badal jaane se
shahr badla meri poshak badal jaane se

kis qadar ho gai aasan hamari mushkil
ek paimana-e-idrak badal jaane se

aaj bhi raqs hi karna hai ishaaron pe hamein
faeda kuchh na hua chaak badal jaane se

rasta ab bhi wahi hai meri manzil bhi wahi
tez-rau main hua pechaak badal jaane se

bhid badhne lagi hai mere bahi-khwahon ki
ek zara surat-e-namnak badal jaane se

nind aati thi bahut farsh-e-zamin par mujh ko
khwab ruthe meri imlak badal jaane se

be-watan main hun magar khush hain mere ghar wale
itna hasil to hua khak badal jaane se

badli badli si nazar aati hai duniya 'alam'
bas mizaj-e-khas-o-khashak badal jaane se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close