dil bhi jaise hamara kamra tha kul asasa zamin pe bikhra tha aasman hi utha liya sar pe jaane kya kuchh zamin pe guzra tha phir nai khwahishen ubhar aain dil abhi hadson se ubra tha chand ki chandni baja lekin rang us ka bhi saf suthra tha kya hua dub kyun gaya aakhir khwab to sahilon pe utra tha aashiyan to bana liya lekin ab hamein aandhiyon ka khatra tha ab faqat zindagi bitate hain warna apna bhi naz-o-nakhra tha