sikha saki na jo aadab-e-mai wo khu kya thi jo ye na tha to phir is darja haw-hu kya thi jo bar-e-dosh raha sar wo kab tha shorida baha na jis se lahu wo rag-e-gulu kya thi phir ek zakhm-e-kushada jo dil ko yaad aa jae wo lazzat-o-khalish-e-sozan-o-rafu kya thi jo izn-e-am na tha waliyan-e-mai-khana ye sab numaish-e-paimana-o-subu kya thi agar nigah-e-jahan ke shumar mein na the hum to phir hamari ye shohrat bhi chaar-su kya thi na khun-e-shab tha na shab-khun ye man len lekin shafaq tulu-e-sahar ko lahu lahu kya thi jab aa rahi hain bahaaren liye payam-e-junun ye pairahan ko mere hajat-e-rafu kya thi tumhein shikayat-e-ahl-e-watan hai kyun sahab khud apne shahr mein 'ghaalib' ki aabru kya thi