dil chura le gai duzdida-nazar dekh liya

dil chura le gai duzdida-nazar dekh liya
hum na kahte the ki us chor ne ghar dekh liya

banda-parwar gham-e-furqat ka asar dekh liya
dagh-e-dil dekh liya dagh-e-jigar dekh liya

qad bhi kam umr bhi kam mashq-e-sitam aur bhi kam
kar chuke qatl mujhe jaiye ghar dekh liya

shikwe ke sath lagawat bhi chali jati hai
jab kiya kuchh to kanakhiyon se idhar dekh liya

dad-khwahon pe nai hashr mein aafat aai
saf ki saf lot gai us ne jidhar dekh liya

qatl-e-ushshaq pe lo aur uthao khanjar
jhuk gai bar-e-nazakat se kamar dekh liya

na chhuta tum se ye mai-khane ka rasta 'bekhud'
munh chhupae hue jate ho kidhar dekh liya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close