dil daba jata hai kitna aaj gham ke bar se

dil daba jata hai kitna aaj gham ke bar se
kaisi tanhai tapakti hai dar o diwar se

manzil-e-iqrar apni aakhiri manzil hai ab
hum ki aae hain guzar kar jada-e-inkar se

tarjuman tha aks apne chehra-e-gum-gashta ka
ek sada aati rahi aaina-e-asrar se

mand padte ja rahe the khwab-taswiron ke rang
raat utarti ja rahi thi dard ki diwar se

main bhi 'akbar' karb-agin jaanta hun zist ko
munsalik hai fikr meri fikr-e-schopenhauer se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close