dil-e-abaad ka barbaad bhi hona zaruri hai jise pana zaruri hai use khona zaruri hai mukammal kis tarah hoga tamasha barq-o-baran ka tera hansna zaruri hai mera rona zaruri hai bahut si surkh aankhen shahr mein achchhi nahin lagtin tere jage huon ka der tak sona zaruri hai kisi ki yaad se is umr mein dil ki mulaqaten thithurti sham mein ek dhup ka kona zaruri hai ye khud-sar waqt le jae kahani ko kahan jaane musannif ka kisi kirdar mein hona zaruri hai janab-e-dil bahut nazan na hon dagh-e-mohabbat par ye duniya hai yahan ye dagh bhi dhona zaruri hai