jamal-e-yar ko dekhun kamal-e-yar se pahle

jamal-e-yar ko dekhun kamal-e-yar se pahle
main khushbu ki tarah mahkun khayal-e-yar se pahle

karishme husn ke suraj sitare phul zahir hain
magar main kis taraf dekhun misal-e-yar se pahle

duaon mein meri yun to bahut tasir hai lekin
main us se aur kya mangun sawal-e-yar se pahle

hai aadat dur rahne ki agar wo samne aae
main sham-e-zindagi chahun visal-e-yar se pahle

sabhi mausam hon khushiyon ke jahan us ka basera ho
zamane ko badal dalun zawal-e-yar se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close