dil-e-ashufta pe ilzam kai yaad aae jab tera zikr chhida nam kai yaad aae tujh se chhut kar bhi guzarni thi so guzri lekin lamha lamha sahar o sham kai yaad aae hae nau-umr adibon ka ye andaz-e-bayan apne maktub tere nam kai yaad aae aaj tak mil na saka apni tabahi ka suragh yun tere nama o paigham kai yaad aae kuchh na tha yaad ba-juz-kar-e-mohabbat ek umr wo jo bigda hai to ab kaam kai yaad aae khud jo lab-tishna the jab tak to koi yaad na tha pyas bujhte hi tahi-jam kai yaad aae