hamein chhoD kidhar sidhaare piyare

hamein chhod kidhar sidhaare piyare
hain mushtaq dide tumhaare piyare

in aankhon ko baadam o nargis se nisbat
idhar tuk to dekho hamare piyare

ye sarw-e-sahi aur shamshad sare
tumhaare qad upar se ware piyare

ye khuban-e-hindi-o-chin-o-chigil bhi
tasadduq gae tujh pe aare piyare

tujhe tuktuki bandh sab tak rahe hain
falak tak bhi bin aankh tare piyare

libas-e-zar-o-gul ki hajat nahin hai
tujhe ai khuda ke sanware piyare

teri nichi in chitwanon ke thagon ne
bidesi banaw hi mare piyare

use sai dena aur is ko badhai
ye chhal-bal batao to bare piyare

pado putki aise tumhaare gunon par
tumhein hum to samjha ke haare piyare

wo majlis ki majlis jami aan kar phir
hue hum hain aakhir kinare pyare

hata tifl-e-dil 'azfari' ka tere dekh
wo baadam o aam aur chhuhaare pyare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close