dil-e-azada-rau mein wo tamanna thi bayaban ki

dil-e-azada-rau mein wo tamanna thi bayaban ki
qadam rakhte hi shaq hone lagi diwar zindan ki

khuda ki rahmaten ai mutrib-e-rangin-nawa tujh par
ki har kante mein tu ne ruh dauda di gulistan ki

ye sabit kar diya tujh ko bana kar dast-e-qudrat ne
ki ho sakti hain itni khubiyan surat mein insan ki

nasim-e-subh thandi sans bharti hai mazaron par
udasi munh-andhere dekhiye gor-e-ghariban ki

ye aalam kya hai ek majmua hai nachiz zarron ka
ye duniya kya hai ek tarkib ajza-e-pareshan ki

hawaon ke wo jhonke wo khule maidan ki sardi
wo lahren chand se rukhsar par zulf-e-pareshan ki

hamari zindagi kya silsila ek dil dhadakne ka
hamari maut kya jumbish hai ek jazbaat-e-pinhan ki

bana dengi yaqin hai 'josh' mard-e-ba-khuda ek din
tapish-andoziyan sine mein barq-e-soz-e-pinhan ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close