dil-e-diwana-o-andaz bebakana rakhte hain gada-e-mai-kada hain waza aazadana rakhte hain mujhe mai-khana tharraata hua mahsus hota hai wo mere samne sharma ke jab paimana rakhte hain ghataen bhi to bahki ja rahi hain in adaon par chaman mein jo qadam rakhte hain wo mastana rakhte hain ba-zahir hum hain bulbul ki tarah mashhur harjai magar dil mein gudaz-e-fitrat-e-parwana rakhte hain jawani bhi to ek mauj-e-sharab-e-tund-o-rangin hai bura kya hai agar hum mashrab-e-rindana rakhte hain kisi maghrur ke aage hamara sar nahin jhukta faqiri mein bhi 'akhtar' ghairat-e-shahana rakhte hain