dil-e-KHulus-gazida ko koi kya jaane

dil-e-khulus-gazida ko koi kya jaane
main chahta hun ki duniya mujhe na pahchane

suno na meri shikasta-e-dili ke afsane
ki mere samne tode gae hain paimane

jo kah raha tha to kuchh bhi suna na duniya ne
jo chup hua hun to banne lage hain afsane

wo gham samet liye main ne zindagi ke liye
teri nigah-e-karam bhi jinhen na pahchane

guzar gae hain wo lamhe bhi ishq mein ai dost
tere baghair bhi jab khush rahe hain diwane

ye chandni ye sitare kahan gae aakhir
nazar to khair gai hai kisi ko pahunchane

meri hansi mein magar zahr ghul gaya 'nazish'
main chahta tha mera gham koi na pahchane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close