dil-e-na-subur ko phir wahi but-e-bewafa ki talash hai

dil-e-na-subur ko phir wahi but-e-bewafa ki talash hai
gham-e-ibtida to utha chuka gham-e-intiha ki talash hai

kisi be-wafa ka gila bhi hai kisi ba-wafa ki talash hai
ye fareb-e-shauq ki dil ko phir kisi aashna ki talash hai

tera gham hi gham rahe umr-bhar tere gham mein khud ko fana karun
mujhe ibtida-e-shuur se isi intiha ki talash hai

ye wo jins hai ki jahan mein jo na bik sake jo na mil sake
tujhe kyun wafa ka junun hai tujhe kyun wafa ki talash hai

jo mile bhi khizr to ab kahun ki salam aab-e-hayat ko
na wo dil ko zauq-e-talab raha na wo rahnuma ki talash hai

dil na-saza ko ye chahta hun ki chah mein kahin dal dun
use hai gunah ki justuju to mujhe saza ki talash hai

nae hausle nae walwale meri justuju mein mudam hain
mujhe intiha-e-talash mein bhi to ibtida ki talash hai

tere is ilaj mein dam nahin teri bas ka rog ye gham nahin
mere dard ke liye chaaragar tujhe kyun dawa ki talash hai

mujhe justuju hai junun ki mujhe be-khudi ki hai aarzu
mere karwan-e-hayat ko kisi rahnuma ki talash hai

tere sath hai tere pas hai na juda samajh wo juda nahin
ye khudi ka parda utha ke dekh agar han khuda ki talash hai

ye hai hashr-e-'khushtar'-e-na-tawan yahan nafsi-nafsi ka hai saman
mujhe ab hujum-e-gunah mein shah-e-dosara ki talash hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close