kab tasawwur yar-e-gul-ruKHsar ka feal-e-abas

kab tasawwur yar-e-gul-rukhsar ka feal-e-abas
ishq hai is gulshan-o-gulzar ka feal-e-abas

nikhat-e-gasu-e-khuban ne kiya be-qadr use
ab hai sauda nafa-e-tatar ka feal-e-abas

rishta-e-ulfat rag-e-jaan mein buton ka pad gaya
ab ba-zahir shaghl hai zunnar ka feal-e-abas

aarzu-mand-e-shahadat aashiq-e-sadiq hue
ghair ko dar hai teri talwar ka feal-e-abas

jab dil-e-sangin-dilan mein kuchh asar hota nahin
girya hai is dida-e-khun-bar ka feal-e-abas

khwab mein bhi yar ko is ka khayal aata nahin
jagna tha dida-e-bedar ka feal-e-abas

khali-az-hikmat hua 'bahram' kab fel-e-hakim
kaam kab hai dawar-e-dadar ka feal-e-abas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close