dil-e-simab-sifat phir tujhe zahmat dunga

dil-e-simab-sifat phir tujhe zahmat dunga
dur-uftada zaminon ki masafat dunga

apne atraf naya shahr basaunga kabhi
aur ek shakhs ko phir us ki hukumat dunga

ek diya nind ki aaghosh mein jalta hai kahin
silsila khwab ka tute to bashaarat dunga

qissa-e-sud-o-ziyan waqf-e-mudaraat hua
phir kisi roz mulaqat ki zahmat dunga

main ne jo likh diya wo khud hai gawahi apni
jo nahin likkha abhi us ki bashaarat dunga

ek safha kahin tarikh mein khali hai abhi
aakhiri jang se pahle tumhein mohlat dunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close