dil hota hai taskin ke aalam mein hazin aur

dil hota hai taskin ke aalam mein hazin aur
le chal mujhe ai shauq-e-subuk-gam kahin aur

han aur utha parde ko ai parda-nashin aur
mujh sa nahin koi tere jalwon ka amin aur

jitni wo mere haal pe karte hain jafaen
aata hai mujhe un ki mohabbat ka yaqin aur

mai-khane ki hai shan usi shor-e-talab se
han aur nahin par hai taqaza ki nahin aur

hai hasil-e-sad-zist jawani ka ye aalam
ai umr-e-gurezan mujhe rahne de yahin aur

mujh sa jo nahin aur koi chahne wala
tujh sa bhi zamane mein nahin koi hasin aur

kafi nahin mujh ko ye nigah-e-ghalat-andaz
han aur badha hausla-e-qalb-e-hazin aur

takrar ka ai shaikh yahi to hai natija
tum ne jo kahin aur to hum se bhi sunin aur

hum martaba-e-'arsh' koi un mein na hoga
honge dar-e-jaanan ke bahut khak-nashin aur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close