dil ka aazar kam nahin hota

dil ka aazar kam nahin hota
shauq-e-didar kam nahin hota

badh rahi hai bahut masihai
dard-e-bimar kam nahin hota

sulh-sazan-e-bazm-e-alam ka
josh-e-paikar kam nahin hota

dekh kar tum ko aur ko dekhen
ab to mear kam nahin hota

un ke inkar-e-ruh-farsa se
un ka iqrar kam nahin hota

ai falak aur koi taza sitam
karam-e-yar kam nahin hota

zahiri haq-parastiyon se kabhi
kufr-e-din-dar kam nahin hota

daur-e-mai mein kami to aati hai
shauq-e-mai-khwar kam nahin hota

mai se raghbat hai shaikh ko har-chand
mai se inkar kam nahin hota

'arsh' dad-e-sukhan na milne se
lutf-e-ashaar kam nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close