dil hua hai mera kharab-e-sukhan dekh kar husn-e-behijab-e-sukhan bazm-e-mani mein sarkhushi hai use jis kun hai nashsha-e-sharab-e-sukhan rah-e-mazmun-e-taza band nahin ta-qayamat khula hai bab-e-sukhan jalwa-paira ho shahid-e-mani jab zaban sun uthe naqab-e-sukhan gauhar us ki nazar mein ja na kare jin ne dekha hai aab-o-tab-e-sukhan harja-goyan ki baat kyunki sune jo suna naghma-e-rabab-e-sukhan hai teri baat ai nazakat-e-fahm lauh-e-dibacha-e-kitab-e-sukhan hai sukhan jag manin adim-ul-misal juz sukhan nin duja jawab-e-sukhan ai 'wali' dard-e-sar kabhu na rahe jab mile sandal-o-gulab-e-sukhan