dil jin ko dhundhta hai na-jaane kahan gae khwab-o-khayal se wo zamane kahan gae manus baam-o-dar se nazar puchhti rahi un mein base wo log purane kahan gae us sarzamin se thi jo mohabbat wo kya hui bachchon ke lab pe the jo tarane kahan gae apni khata pe sar ko jhukaya hai aaj kyun azbar jo aap ko the bahane kahan gae patthar samaaton se zaban gung ho gai hum bhi gae to haal sunane kahan gae be-mahri-e-yahat tujhe kuchh khabar bhi hai dekhe gae jo khwab suhane kahan gae bachpan saheliyan wo hama-waqt ki hansi 'amabar' wo zindagi ke khazane kahan gae