dil jo hansta hai to rone ka guman hota hai

dil jo hansta hai to rone ka guman hota hai
khud ko pa kar use khone ka guman hota hai

din ko jab ghar se nikalta hun to aksar mujh ko
sae ke bojh ko dhone ka guman hota hai

jab bhi aati hai mere sahn mein khushbu-e-gul
tere ghar ke kisi kone ka guman hota hai

odh leta hun shararon ki ridaen jab mein
reg-e-sahra pe bichhaune ka guman hota hai

narm hote hi badal jati hai surat meri
yak-ba-yak chaak pe hone ka guman hota hai

ek hi ashk muqaddar se mila hai phir bhi
har kisi dagh ko dhone ka guman hota hai

hech thi meri nigahon mein haqiqat lekin
ab to mitti pe bhi sone ka guman hota hai

tutne aur bikharne mein laga hun jab se
mujh ko apne pe khilaune ka guman hota hai

par karta hun samundar pe samundar 'rahat'
phir bhi khud ko hi dubone ka guman hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close