dil jo murda ho to ye rashk-e-jinan kuchh bhi nahin lala ho sabza ho ya aab-e-rawan kuchh bhi nahin ye dahakte hue ghunche ye sulagte hue dil har taraf soz-e-darun harf-e-zaban kuchh bhi nahin pyare daman se juda ho gae main ne dekha hasraten bolin miyan umr-e-rawan kuchh bhi nahin lafz-o-mani mein jo rishta hai wo buniyaadi hai sirf alfaz ka ek sail-e-rawan kuchh bhi nahin karda-na-karda gunahon mein kati umr-e-aziz log kahte hain ziyan warna ziyan kuchh bhi nahin barish-e-sang ho shishe ki kamin-gahon se kaise farzane ho shishe ka makan kuchh bhi nahin khwab se khwab mein ek umr giraftar raha ab khala khwab ba-juz wahm-o-guman kuchh bhi nahin