dil ke har zaKHm ko palkon pe sajaya to gaya

dil ke har zakhm ko palkon pe sajaya to gaya
aap ke nam pe ek jashn manaya to gaya

mai-e-kohna na sahi khun-e-tamanna hi sahi
ek paimana mere samne laya to gaya

khair apna nahin baghi hi samajh kar hum ko
teri mahfil mein kisi taur bulaya to gaya

ab ye baat aur ki zindan mein bhi zanjiren hain
hum ko gulshan ki balaon se bachaya to gaya

dar pe chadh ke bhi khush hain ki hamein is dil mein
is bahane hi sahi apna banaya to gaya

ab ye qismat hi na jage to kare kya koi
roz-o-shab ek naya tufan uthaya to gaya

kya hai manzil se agar ho gae hum dur 'akhtar'
rahbaron ke hamein halqe se nikala to gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close