qurb ke na wafa ke hote hain

qurb ke na wafa ke hote hain
jhagde sare ana ke hote hain

baat niyyat ki sirf hai warna
waqt sare dua ke hote hain

bhul jate hain mat bura kahna
log putle khata ke hote hain

wo ba-zahir jo kuchh nahin lagte
un se rishte bala ke hote hain

wo hamara hai is tarah shayad
jaise bande khuda ke hote hain

bakhsh dena bhi thik hai lekin
kuchh saliqe ata ke hote hain

kuchh ko duniya bikher deti hai
kuchh pareshan sada ke hote hain

wo jo hasti mein dub jate hain
un ke charche bala ke hote hain

us ki fitrat hi aisi hai 'akhtar'
jaise tewar hawa ke hote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close